
10 Foods That Are Good for Your Eyes and Boost Your Eye Health
Eyes ka hamari body me important role hota hai. Healthy Eyes rakhne me many things help karti hain. aankhon diseases ko kabhi bhi easily nahi lena chahiye. aankhen hamari soul ki window hai. Yani hum duniya me jo bhi achcha aur bura dekhte hain wo sab eyes ki help se hi dekhte hain.
Hame inhe healthy rakhne ki puri koshish karni chahiye. Kya aap eyes keliye best foods khate hain. Wo foods jo aankhon ko diseases sedur rakhen.
Kuch khas foods hain jinki help se hum aankhon health ko boost kar sakte hain.
10 foods boost your eyes health-
1. Leafy Green-
Spinach, kale aur collard(both are members of the cabbage family) ye vitamin C,E ke rich sources hain. Jinme lutein aur zeaxanthin full hota hai. Ye dono types of carotenoids jo yellow to red pigments hain.
Ye vegetable aur plants me Hote Hain. Brocolli, peas aur avocados powerful antioxidants ke good sources hain.
2. Raw Red Pepper-
Bell peppers apko har calorie me vitamin C deta hai. Ye apki aankhon ki blood vessels ke liye good hai. Scientifically ye apki eyes cataracts risk ko low karti hai. Ye many types of vegetable our fruits me paya jata hai. Inme cauliflower, papayas aur strawberry shamil hain.
Inhe raw yani bina boil kiye hi khana chahiye. Kyonki heat dene par inka vitamin C destroy ho jata hai. Bright color peepers vitamin C aur E ke rich source hoti hain.
3. Sunflower Seeds and Nuts-
Ye seeds aur nuts(pistachios, walnuts, almonds) rich in omega3, fatty acids aur vitamin E hote hain. Eyes health ko boost karte hain. Ye vitamin E aur zinc se bharpur hote hain.
4. Colorful Fruits and Vegetables-
Foods such as carrots aur tomatoes, bell peppers, strawberries, pumpkin, corn etc vitamin A and C ke rich source hain.
5. Sweet Potatoes–
Orange colored fruits aur vegetables jaise sweet potatoes, carrots, mangoes aur apricot rich source of vitamin A jo night vision me help karte hain. Darkness me eyes ability ko adjust karte hain.
1 sweet potato me itna vitamin C hota hai jitni apko din bhar me jarurat hai. Isme little amount vitamin E bhi present hota hai
6. Eggs khayen-
Eggs me vitamins aur nutrients hote hain. Lutein aur vitamin A eyes ko night blindness aur dry eyes se protect karte hain.
7. Fish oil, flax seed oil and black current seed oil-
Ye sab omega-3 ke super supplements hain. Inse eyes ko health benefit hota hai. Ye dry aankhon aur cataracts se bi aankhon ko protect karte hain.
8. Fish-Cold water fish jaise salmon, tuna, sardines sab rich source hain mega-3 fatty acids dry eyes aur cataract se dur rakhte hain.
9. Refined Carbohydrate-
Refined carbohydrates jaise brown rice, whole oats, whole wheat bread aur pasta hain. Eye health me vitamin E aur zinc jo whole grains me hote hain helpful hain.
10. Oranges-
Tasty oranges vitamin C ka rich source hai. Ye aankhon tissues ki health ko maintain karta hai. Eyes me ye vitamin C other important antioxidants ko regenerate karte hain jaise vitamin E.
Doston, dekha apne ki foods kis tarah hamari eye sight ko strong karte hain. Isliye jab bhi khana khayen hamesha aankhon ki health strong karne wale foods hi khayen. Isse apki eyes hamesha healthy rahengi. Aur aap ek fit aur happy lifestyle jee payenge.
Must Read:
/everything-know-chronic-pain/