
Save Water Slogans/Quotes/Shayari In Hindi/पानी बचाओ पर हिंदी स्लोगन
Doston kya aap jante hain ki 22 March world water day ke naam se manaya jata hai. Iska matlab hai save water. Is day ko khas taur par water day isliye kaha jata hai ki sabko water ki value yaad rahe.
Waise to hm sab ye jante hain ki pani hamare liye kitna important hai. Lekin fir bhi bahut se log ise waste karte hain. Aur iski value tab pata chalti hai ja ek din bhi hame bina pani ke rahna pade.
Kya aap rupees ko water ki tarah waste karte hain. Ji nahi aisa koi nahi karta . Lekin jab koi rupaye jyada waste karta hai to kahte hain ki pani ki tarah paisa baha raha hai.
Doston water ki value ko samjho. Apke liye ye bahut important hai. Aaj main apke liye save water ke hindi slogan lekar aayi hun.
Aaiye hum sab milkar water bachane ki koshish karen.
Save Water Slogans/Shayari In Hindi/पानी बचाओ पर हिंदी स्लोगन
Jal hai to hain hum
Hum hain to hai kal
Kal hai to hain hum
Jal hai to hai kal.
जल है तो हैं हम
हम हैं तो है कल
कल है तो हैं हम
जल है तो है कल.
Jal ko bachayen
Kal apna sajayen
Sab ko ye batayen
Paani na vyarth bahayen.
जल को बचाएं
कल अपना सजाएँ
सब को ये बताएं
पानी न व्यर्थ बहायें.
Bin paani sab soona
Bin paani jag soona,
Paani hai kal hamara
paani hai sab hamara.
बिन पानी सब सूना
बिन पानी जग सूना
पानी है कल हमारा
पानी है सब हमारा.
Save Water Slogans/Quotes In Hindi/पानी बचाओ पर हिंदी स्लोगन
Bachche, budhe aur jawan
paani bachao bano mahan,
Iski har boond hai gangajal
iske dam se hai hamara kal.
बच्चे, बूढ़े और जवान
पानी बचाओ बनो महान
इसकी हर बूँद है गंगाजल
इसके डीएम से है हमारा कल.
Jal to hai doston asli sona,
Isko tum kabhi na khona,
Paani bin hum hain aise
jal bin machli tadpe jaise.
जल तो है दोस्तों असली सोना
इसको तुम कभी ना खोना
पानी बिन हम हैं ऐसे
जल बिन मछली तडपे जैसे.
Paani ki mahima aprampar
Jal bachane ka sapna karo sakar,
Paani nahi agr bachaoge
To doston pyase hi rah jaoge,
पानी की महिमा अपरम्पार
जल बचानेका सपना करो साकार
पानी नहीं अगर बचाओगे
तो दोस्तों प्यासे ही रह जाओगे.
Save Water Slogans/Shayari In Hindi/पानी बचाओ पर हिंदी स्लोगन
Paani to hai ik anmol ratan
Paani naa bahe karo aisa jatan,
Fit rahna hai to bas yog karo
Jeevit rahna to jal ka sadupayog karo.
पानी तो है इक अनमोल रत्न
पानी ना बहे करो ऐसा जतन
फिट रहना है तो बस योग करो
जीवित रहना तो जल का सदुपयोग करो.
Jo jal ko bachayega
samjhdar wahi kahlayega,
Jal ko jarur bachana hai
nayi peedhi ko munh dikhana hai.
जो जल को बचाएगा
समझदार वही कहलायेगा
जल को जरुर बचाना है
नयी पीढ़ी को मुंह दिखाना है.
Jal se hi to bujhti sabki pyas
Lekin jal to hai kam hamare paas.
जल से ही तो बुझती सबकी प्यास
लेकिन जल तो है कम हमारे पास.
Save Water Slogan/Shayari In Hindi/पानी बचाओ पर हिंदी स्लोगन
Paani ko taraste hain sab log yahan
paani hai anmol aisa dhan kahan.
पानी को तरसते हैं सब लोग यहाँ
पानी है अनमोल ऐसा धन और कहाँ.
Animal, Birds Aur insaan
Sabko Jal Ki Hai Chahat
Jal Agar Ho GAya khatam
Kaise Milegi sabko rahat.
जानवर, चिड़िया और इंसान
सबको जल की है चाहत
जल अगर हो गया खत्म
कैसे मिलेगी सबकी राहत.
Jal se hai jeevan hamara
Sab isko bachao
Sabke ghar me ho jal sanrakshan
Hai ab ye hi kaam hamara.
जल से है जीवन हमारा
सब इसको बचाओ
सबके घर में हो जल संरक्षण
है अब ये ही काम हमारा.
Ye bhi jarur padhen-
/rajasthani-shayari-watsapp-message/
19 comments
Jal hai to jeevan hai, bilkul sahi, sabko water save jarur karna chahiye.
Jal hai to jeevan hai,
bilkul sahi, sabko water save jarur karna chahiye.
shilpa ji apne sahi kaha, jab sabhi paani ko bachane ki koshish karenge to hame kabhi jal ki kami nahi hogi.
Jal aaj ki tarikh mein utna he kimti hai jitn sona. Par logon ko yeh jaankari nahi ki jahan sone se pyaas trpit nahi hoti. Kaun zyada kimti hua? Great post!
Bilkul sahi kaha apne pradita ji,
Hae insaan ko khud se hi iski shuruat karni hogi. Tabhi hum apna aaj aur kal save kar payenge.
Thanks.
bahut acchi post hai
aakhir jal hi jivan hai
thanks apka
Great post !
शायरी और स्लोगन्स के माध्यम से बहुत ही उम्दा लिखा है आपने जल संरक्षण के बारे में। समाज को जागरूक करें का एक बहुत ही सुन्दर प्रयास।
@Sandeep Kumar Singh
जी शुक्रिया आपका,
सच ही तो है
जल है तो कल है
बिन जल क्या कल है.
Very Nice – i’m defiantly adding this blog to my list.
jinshukriya apka
i am interested to see the slogan.
thanks a lot
bahut achhi article likhi hai aapne
malaria ka ilaj